ek inch muskurahaT
kabhī kabhī jī chāhtā hai ki jiyūñ
bahut dinoñ tak
yahāñ tak ki
jiine kā salīqa kho baiThūñ
yahāñ tak ki
dauḌtī bhāgtī zindagī ke tempo par
uThne vaale meter kī parvāh karnā
fuzūl sā lagne lage
jis tarah
fuzūl sā lagne lagtā hai
baisākhī kā sahārā le kar jiinā
phir bhī
jiye jaatā huuñ
ki kabhī kabhī jiinā paḌtā hai yahāñ
mahz ek inch muskurāhaT kī ḳhātir
kabhi kabhi ji chahta hai ki jiyun
bahut dinon tak
yahan tak ki
jine ka saliqa kho baiThun
yahan tak ki
dauDti bhagti zindagi ke tempo par
uThne wale meter ki parwah karna
fuzul sa lagne lage
jis tarah
fuzul sa lagne lagta hai
baisakhi ka sahaara le kar jina
phir bhi
jiye jata hun
ki kabhi kabhi jina paDta hai yahan
mahz ek inch muskurahaT ki KHatir
- Book : Aatish Fishan (Pg. 28)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.