ek intihai ghair-jazbaati report
sūraj Dhaltā hai
aur bam girtā hai
aur bam girte haiñ
sūraj Dhalne se
sūraj chaḌhne tak
chaḌhe hue din meñ bhī idhar udhar
bam girte rahte haiñ
lekin koī chīḳh sunā.ī nahīñ detī
pahle detī thī
ab koī nahīñ rotā
gahre gahre gaḌhe haiñ aur gaḌhoñ
meñ
galtā huā insānī maas hai bachā-khuchā
aur chāroñ jānib
īñTeñ patthar sariyā TuuTe hue
darvāze khiḌkiyāñ kuttā billī chiil
aur Dare Dare kuchh log
udhar udhar se jhāñkte haiñ
udhar udhar chhup jaate haiñ
bam girtā hai
lekin ek khañDar meñ cigarette jaltā hai
bujhtā hai
jaltā hai
Dar ġhusse meñ Dhaltā hai
rocket chaltā hai
rocket chaltā hai
duniyā chīḳhtī hai
aur bam girtā hai
to
kisī ko sunā.ī nahīñ detā
kisī ko dikhā.ī nahīñ detā
suraj Dhalta hai
aur bam girta hai
aur bam girte hain
suraj Dhalne se
suraj chaDhne tak
chaDhe hue din mein bhi idhar udhar
bam girte rahte hain
lekin koi chiKH sunai nahin deti
pahle deti thi
ab koi nahin rota
gahre gahre gaDhe hain aur gaDhon
mein
galta hua insani mas hai bacha-khucha
aur chaaron jaanib
inTen patthar sariya TuTe hue
darwaze khiDkiyan kutta billi chil
aur Dare Dare kuchh log
udhar udhar se jhankte hain
udhar udhar chhup jate hain
bam girta hai
lekin ek khanDar mein cigarette jalta hai
bujhta hai
jalta hai
Dar ghusse mein Dhalta hai
rocket chalta hai
rocket chalta hai
duniya chiKHti hai
aur bam girta hai
to
kisi ko sunai nahin deta
kisi ko dikhai nahin deta
- Book : Pakistani Adab (Pg. 127)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.