ek ittifaqi maut ki rudad
sarāsar ittifāqī maut thī
us ne kahā thā mujh ko jaanā hai
so vo aise gayā jaise zamīñ se ghaas jaatī hai
sarāsar ittifāqan
paañv chalne ke liye hote haiñ
itnā to sabhī taslīm karte haiñ
to aise meñ agar miTTī kī uryānī shikāyat-gar bhī ho jaa.e
to us par aur miTTī Daal dete haiñ
so ham ne Daal dī miTTī-pe-miTTī
ittifāqan
ye to hotā hai
sarāsar ittifāqī hādisa thā
us ne ḳhud likhā thā
duniyā beach aanā ittifāqī amr hai
jaanā sarāsar hādsātī
to us par to adālat ne bhī kuchh hujjat nahīñ kī
us ne ḳhud likhā thā
hujjat nafsiyātī āriza hai
so adālat ne bilā taftīsh use jaane diyā
jaise zamīñ se ghaas jaatī hai
sarāsar ittifāqan
bil-umūm aisā hī hotā hai
hamesha ittifāqan
sarasar ittifaqi maut thi
us ne kaha tha mujh ko jaana hai
so wo aise gaya jaise zamin se ghas jati hai
sarasar ittifaqan
panw chalne ke liye hote hain
itna to sabhi taslim karte hain
to aise mein agar miTTi ki uryani shikayat-gar bhi ho jae
to us par aur miTTi Dal dete hain
so hum ne Dal di miTTi-pe-miTTi
ittifaqan
ye to hota hai
sarasar ittifaqi hadisa tha
us ne KHud likha tha
duniya beach aana ittifaqi amr hai
jaana sarasar hadsati
to us par to adalat ne bhi kuchh hujjat nahin ki
us ne KHud likha tha
hujjat nafsiyati aariza hai
so adalat ne bila taftish use jaane diya
jaise zamin se ghas jati hai
sarasar ittifaqan
bil-umum aisa hi hota hai
hamesha ittifaqan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.