ek jaan do jism
tumheñ ḳhabar hai
maiñ chhoTā thā to
tumhāre bartan tumhāre chamche
tumhārī chhoTī sī chaa.e kī pyālī se kheltā thā
tumhārī guḌiyā
tumhāre jhūle meñ tum na jhūlīñ
maiñ jhūltā thā
tumheñ bhī apne khilaunoñ se
zarā bhī raġhbat nahīñ rahī thī
tum aksar
mere hī roboToñ ke ās-pās hī
ghūmtī thiiñ
chhupā.ūñ un ko to
DhūñDhtī thiiñ
mere khilaunoñ se mujh ko aisī bhī ḳhaas raġhbat
nahīñ rahī thī
tumhāre bartan tumhārī pyālī
tumhārī guḌiyā
tumhāre hote bhī
ās-pās mere rahe the
maiñ ab jo sochūñ
to dil ye merā boltā hai
ki din jum'e kā
yā shab jum'e kī
jum'e ke din se rahī hai nisbat
maiñ tum se milne nahīñ huuñ aaya
tum mujh se miltī nahīñ rahī ho
magar jo pūchho
to sach yahī hai
kisī ne dekhā hameñ nahīñ hai
magar maiñ bartan
tumhāre jhūle
tumhārī guḌiyā
tum
roboToñ ke hī darmiyān
rah rahī ho
tumhein KHabar hai
main chhoTa tha to
tumhaare bartan tumhaare chamche
tumhaari chhoTi si chae ki pyali se khelta tha
tumhaari guDiya
tumhaare jhule mein tum na jhulin
main jhulta tha
tumhein bhi apne khilaunon se
zara bhi raghbat nahin rahi thi
tum aksar
mere hi roboTon ke aas-pas hi
ghumti thin
chhupaun un ko to
DhunDhti thin
mere khilaunon se mujh ko aisi bhi KHas raghbat
nahin rahi thi
tumhaare bartan tumhaari pyali
tumhaari guDiya
tumhaare hote bhi
aas-pas mere rahe the
main ab jo sochun
to dil ye mera bolta hai
ki din jum'e ka
ya shab jum'e ki
jum'e ke din se rahi hai nisbat
main tum se milne nahin hun aaya
tum mujh se milti nahin rahi ho
magar jo puchho
to sach yahi hai
kisi ne dekha hamein nahin hai
magar main bartan
tumhaare jhule
tumhaari guDiya
tum
roboTon ke hi darmiyan
rah rahi ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.