ek jaisa mukalima
bichhaḌte lamhoñ meñ
us ne mujh se kahā thā dekho
''hamārī rāheñ judā judā haiñ
magar hameñ ek dūsre kā ḳhayāl rakhnā hai zindagī bhar
kisī bhī lamhe udāsiyoñ kī
fasīl haa.il na hone denā
havā ke hāthoñ pe likhte rahnā
judā.iyoñ ke tamām qisse
qadam qadam par jo pesh aa.eñ
vo sānehe bhī nazar meñ rakhnā
maiñ jab bhī lauTā to apne hoñToñ kī tāzgī ko
tumhārī bujhtī huī in āñkhoñ meñ lā rakhūñgā
jo merī apnī haiñ sirf merī''
bichhaḌte lamhoñ meñ us ne mujh se na jaane kyā kuchh kahā sunā thā
aur ab
use bhī yahī kahegā
vo jis ke hāthoñ meñ haath Daale
na.e safar par nikal paḌā hai
bichhaDte lamhon mein
us ne mujh se kaha tha dekho
hamari rahen juda juda hain
magar hamein ek dusre ka KHayal rakhna hai zindagi bhar
kisi bhi lamhe udasiyon ki
fasil hail na hone dena
hawa ke hathon pe likhte rahna
judaiyon ke tamam qisse
qadam qadam par jo pesh aaen
wo sanehe bhi nazar mein rakhna
main jab bhi lauTa to apne honTon ki tazgi ko
tumhaari bujhti hui in aankhon mein la rakhunga
jo meri apni hain sirf meri
bichhaDte lamhon mein us ne mujh se na jaane kya kuchh kaha suna tha
aur ab
use bhi yahi kahega
wo jis ke hathon mein hath Dale
nae safar par nikal paDa hai
- Book : Mohabbatein Jab Shumar Karna (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.