ek jhuTi kahani
jab dariyā meñ aag lagī
machhlī ne ik jast lagā.ī jā baiThī dīvār par
kachhve ko uḌnā aatā thā uḌ ke baiThā taar par
meñDak ko aage jaanā thā vo to bhāgā car par
jab dariyā meñ aag lagī
taar pe billī naach rahī thī kachhve se ye bolī
aao bādal meñ chhup jaa.eñ kheleñ āñkh-micholī
machhlī baiThī uuñgh rahī thī vo bhī pīchhe ho lī
jab dariyā meñ aag lagī
bādal meñ paanī kam-kam thā lekin dhuup ziyāda
dhuup ke bistar par leTā thā bārish kā shahzāda
sab meñ ole baañT rahā thā shahzāde kā daadā
jab dariyā meñ aag lagī
machhlī ne āvāz lagā.ī laao mujhe bhī ole
billī aur kachhve ko dekh ke daadā jī ye bole
dhuup kī khiḌkī bādal ke darvāze kis ne khole
jab dariyā meñ aag lagī
daadā kī ye baat sunī to bijlī dauḌī aa.ī
billī ko ik dhakkā maarā kachhve se Takrā.ī
machhlī apnā muñh laTkā.e nīche vāpas aa.ī
jab dariyā meñ aag lagī
jab dariya mein aag lagi
machhli ne ek jast lagai ja baiThi diwar par
kachhwe ko uDna aata tha uD ke baiTha tar par
meinDak ko aage jaana tha wo to bhaga car par
jab dariya mein aag lagi
tar pe billi nach rahi thi kachhwe se ye boli
aao baadal mein chhup jaen khelen aankh-micholi
machhli baiThi ungh rahi thi wo bhi pichhe ho li
jab dariya mein aag lagi
baadal mein pani kam-kam tha lekin dhup ziyaada
dhup ke bistar par leTa tha barish ka shahzada
sab mein ole banT raha tha shahzade ka dada
jab dariya mein aag lagi
machhli ne aawaz lagai lao mujhe bhi ole
billi aur kachhwe ko dekh ke dada ji ye bole
dhup ki khiDki baadal ke darwaze kis ne khole
jab dariya mein aag lagi
dada ki ye baat suni to bijli dauDi aai
billi ko ek dhakka mara kachhwe se Takrai
machhli apna munh laTkae niche wapas aai
jab dariya mein aag lagi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.