Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ek jhuTi kahani

Abid Hasan

ek jhuTi kahani

Abid Hasan

MORE BYAbid Hasan

    jab dariyā meñ aag lagī

    machhlī ne ik jast lagā.ī baiThī dīvār par

    kachhve ko uḌnā aatā thā uḌ ke baiThā taar par

    meñDak ko aage jaanā thā vo to bhāgā car par

    jab dariyā meñ aag lagī

    taar pe billī naach rahī thī kachhve se ye bolī

    aao bādal meñ chhup jaa.eñ kheleñ āñkh-michaulī

    machhlī baiThī uuñgh rahī thī vo bhī pīchhe ho

    jab dariyā meñ aag lagī

    bādal meñ paanī kam-kam thā lekin dhuup ziyāda

    dhuup ke bistar par leTā thā bārish ka shahzāda

    sab meñ ole baañT rahā thā shahzāde ka daadā

    jab dariyā meñ aag lagī

    machhlī ne āvāz lagā.ī laao mujhe bhī ole

    billī aur kachhve ko dekh ke daadā ye bole

    dhuup khiḌkī bādal ke darvāze kis ne khole

    jab dariyā meñ aag lagī

    daadā ye baat sunī to bijlī dauḌī aa.ī

    billī ko ik dhakkā maarā kachhve se Takrā.ī

    machhlī apnā muñh laTkā.e nīche vāpas aa.ī

    jab dariyā meñ aag lagī

    jab dariya mein aag lagi

    machhli ne ek jast lagai ja baiThi diwar par

    kachhwe ko uDna aata tha uD ke baiTha tar par

    meinDak ko aage jaana tha wo to bhaga car par

    jab dariya mein aag lagi

    tar pe billi nach rahi thi kachhwe se ye boli

    aao baadal mein chhup jaen khelen aankh-michauli

    machhli baiThi ungh rahi thi wo bhi pichhe ho li

    jab dariya mein aag lagi

    baadal mein pani kam-kam tha lekin dhup ziyaada

    dhup ke bistar par leTa tha barish ka shahzada

    sab mein ole banT raha tha shahzade ka dada

    jab dariya mein aag lagi

    machhli ne aawaz lagai lao mujhe bhi ole

    billi aur kachhwe ko dekh ke dada ji ye bole

    dhup ki khiDki baadal ke darwaze kis ne khole

    jab dariya mein aag lagi

    dada ki ye baat suni to bijli dauDi aai

    billi ko ek dhakka mara kachhwe se Takrai

    machhli apna munh laTkae niche wapas aai

    jab dariya mein aag lagi

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now