ek kahani
mere kamre meñ phailī hai ek kahānī
abhī zarā sī der huī hai
maiñ ne ik maile kāġhaz par
harfoñ ke TukḌe joḌe the
aur kahānī ko thoḌī sī jagah milī thī
phir lafzoñ ke taane baane bikhar ga.e the
jin lafzoñ se āñkh-micholī khelte khelte
biit gayā hai itnā vaqt
ki ab to yaad bhī kab aatā hai
apne jism kī qaid meñ haiñ ham yā bāhar haiñ
itnā vaqt ki manzar saare pighal ga.e haiñ
ojhal haiñ tasvīr ke rañg meñ yā zāhir haiñ
aur kahānī kāġhaz se bah niklī hai
saare kamre meñ phailī hai
sab darvāzoñ aur darīchoñ se lipTī hai
saarī kitābeñ auñdhī kar ke
un se vo sab lafz nikāl ke le aa.ī hai
jo ham ne ik saath paḌhe the
merī almārī se band lifāfe khol ke
saare ḳhvāb uThā laa.ī hai
jo ham ne ik saath bune the
aur zamīñ se chhat tak kaise bechainī se bhaTak rahī hai
thak jaatī hai aur mirī āñkhoñ se bahne lag jaatī hai
bistar ke nīche chhup kar aa.heñ bhartī hai
mere kañdhe par sar rakh ke so jaatī hai
aur kabhī khiḌkī ke paT par māthā Tek ke kho jaatī hai
mere kamre meñ phailī ye ek kahānī
ghaat meñ hai ab
koī rauzan-e-dar darvāza khul jaa.e to
ye is habs-zada kamre se bāhar nikle
jaise mere dil kī ek ik rag ko chiir ke bah niklī thī
mere kamre mein phaili hai ek kahani
abhi zara si der hui hai
main ne ek maile kaghaz par
harfon ke TukDe joDe the
aur kahani ko thoDi si jagah mili thi
phir lafzon ke tane bane bikhar gae the
jin lafzon se aankh-micholi khelte khelte
bit gaya hai itna waqt
ki ab to yaad bhi kab aata hai
apne jism ki qaid mein hain hum ya bahar hain
itna waqt ki manzar sare pighal gae hain
ojhal hain taswir ke rang mein ya zahir hain
aur kahani kaghaz se bah nikli hai
sare kamre mein phaili hai
sab darwazon aur darichon se lipTi hai
sari kitaben aundhi kar ke
un se wo sab lafz nikal ke le aai hai
jo hum ne ek sath paDhe the
meri almari se band lifafe khol ke
sare KHwab uTha lai hai
jo hum ne ek sath bune the
aur zamin se chhat tak kaise bechaini se bhaTak rahi hai
thak jati hai aur meri aankhon se bahne lag jati hai
bistar ke niche chhup kar aahen bharti hai
mere kandhe par sar rakh ke so jati hai
aur kabhi khiDki ke paT par matha Tek ke kho jati hai
mere kamre mein phaili ye ek kahani
ghat mein hai ab
koi rauzan-e-dar darwaza khul jae to
ye is habs-zada kamre se bahar nikle
jaise mere dil ki ek ek rag ko chir ke bah nikli thi
- Book : Sadiyo.n Jaise Pal (Pg. 51)
- Author : AMBARIN SALAHUDDIN
- Publication : AMBARIN SALAHUDDIN (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.