ek kahani aur suna do ek kahani aur
ek kahānī aur sunā do ek kahānī aur
ek kahānī ek kahānī achchhī naanī aur
laal parī ākāsh se utrī
pariyoñ ke raajā kī putrī
ek mahal ke chhat par aa.ī
chhat par nāchī chhat par gaa.ī
ye to batā do us ne dil meñ kyā thī Thānī aur
ek kahānī ek kahānī achchhī naanī aur
mullā nasruddīn kahāñ haiñ
kyā vo kisī ke phir mehmāñ haiñ
un kī bāteñ kah ke hañsā do
ek dafa phir aaj hañsā do
aql ko sharmā dene vaalī ik nādānī aur
ek kahānī ek kahānī achchhī naanī aur
baal jalā kar dev bulāo
us se kaho ik mahal banāo
mahal meñ lākhoñ pariyāñ aa.eñ
aur mahal le kar uḌ jaa.eñ
baḌh jaa.e jis se hamārī kuchh hairānī aur
ek kahānī ek kahānī achchhī naanī aur
ek kahani aur suna do ek kahani aur
ek kahani ek kahani achchhi nani aur
lal pari aakash se utri
pariyon ke raja ki putri
ek mahal ke chhat par aai
chhat par nachi chhat par gai
ye to bata do us ne dil mein kya thi Thani aur
ek kahani ek kahani achchhi nani aur
mulla nasruddin kahan hain
kya wo kisi ke phir mehman hain
un ki baaten kah ke hansa do
ek dafa phir aaj hansa do
aql ko sharma dene wali ek nadani aur
ek kahani ek kahani achchhi nani aur
baal jala kar dew bulao
us se kaho ek mahal banao
mahal mein lakhon pariyan aaen
aur mahal le kar uD jaen
baDh jae jis se hamari kuchh hairani aur
ek kahani ek kahani achchhi nani aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.