ek kahani ishq ki
maiñ tere bahattar sāthiyoñ meñ nahīñ thā
mujhe to ishq ne muntaḳhab kiyā thā
ek vahshat-nāk bhiiḌ thī mere ird-gird
magar maiñ is bhiiḌ meñ hote hue bhī
kisī vahshat kā hissa na thā
maiñ to tanhā thā
ahl-e-hakam ke nazdīk to ek bāġhī thā
aur vo tamām hujūm jo faqat hujūm thā
be-chehra be-kirdār be-zehn faqat hujūm
jo apnī ġhalat zarūratoñ kī ḳhātir
vahī kahte jo ahl-e-hakam kahte vahī sunte jo unheñ sunāyā jaatā
vahī dekhte jo unheñ dikhā jaatā
sū-e-husain-ibn-e-alī
tum bāġhī Thahre
maiñ is hujūm kā hissa nahīñ thā
magar tum tak aane ke liye mujhe is hujūm se guzarnā thā
tumhāre sach ko jānñe ke liye
maiñ ne kitne hī jhuuT sune
maiñ bātil ke rāstoñ ko ubuur kar ke
haq tak pahuñchā
maiñ tere behtar sāthiyoñ meñ nahīñ thā
magar mashiyyat ko manzūr thā ki husain hur se mile
ki tārīḳh ko bāvar ho
ahl-e-ishq ke faisle
ḳhudā ke faisle hote haiñ
jis ne zamāne kī qasam khā kar
ḳhasāre kā mafhūm samjhāyā
aur maiñ ne jūm-e-ġhalat ke darmiyān
is mafhūm ko pā liyā
maiñ tere bahattar sāthiyoñ meñ nahīñ thā
husain maiñ terā hur thā
main tere bahattar sathiyon mein nahin tha
mujhe to ishq ne muntaKHab kiya tha
ek wahshat-nak bhiD thi mere ird-gird
magar main is bhiD mein hote hue bhi
kisi wahshat ka hissa na tha
main to tanha tha
ahl-e-hakam ke nazdik to ek baghi tha
aur wo tamam hujum jo faqat hujum tha
be-chehra be-kirdar be-zehn faqat hujum
jo apni ghalat zaruraton ki KHatir
wahi kahte jo ahl-e-hakam kahte wahi sunte jo unhen sunaya jata
wahi dekhte jo unhen dikha jata
su-e-husain-ibn-e-ali
tum baghi Thahre
main is hujum ka hissa nahin tha
magar tum tak aane ke liye mujhe is hujum se guzarna tha
tumhaare sach ko jaanne ke liye
main ne kitne hi jhuT sune
main baatil ke raston ko ubur kar ke
haq tak pahuncha
main tere behtar sathiyon mein nahin tha
magar mashiyyat ko manzur tha ki husain hur se mile
ki tariKH ko bawar ho
ahl-e-ishq ke faisle
KHuda ke faisle hote hain
jis ne zamane ki qasam kha kar
KHasare ka mafhum samjhaya
aur main ne jum-e-ghalat ke darmiyan
is mafhum ko pa liya
main tere bahattar sathiyon mein nahin tha
husain main tera hur tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.