ek kahani
maiñ kahānī ke mahal meñ utartī ga.ī
pariyāñ dev ġhulām saheliyāñ shahzāde
titliyāñ bhañvre favvāre
hasīn nazāre devtā kī mohabbat
rākshas kī sharārat
pata hī nahīñ chalā
kab maañ kī āvāz Dūbtī chalī ga.ī
kab mujhe niiñd lag ga.ī
ab jāgne lagī huuñ
to hairat meñ huuñ
ki maiñ kahānī meñ huuñ
yā kahānī mujh meñ
main kahani ke mahal mein utarti gai
pariyan dew ghulam saheliyan shahzade
titliyan bhanwre fawware
hasin nazare dewta ki mohabbat
rakshas ki shararat
pata hi nahin chala
kab man ki aawaz Dubti chali gai
kab mujhe nind lag gai
ab jagne lagi hun
to hairat mein hun
ki main kahani mein hun
ya kahani mujh mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.