ek kahani
tum ne
shāyad kisī risāle meñ
koī afsāna paḌh liyā hogā
kho ga.ī hogī ruup kī raanī
ishq ne zahr khā liyā hogā
tum akelī khaḌī huī hogī
sar se āñchal Dhalak rahā hogā
yā paḌosan ke phuul se ruḳh par
koī dhabbā chamak rahā hogā
kaam meñ hoñge saare ghar vaale
radio gungunā rahā hogā
tum pe nashsha sā chhā gayā hogā
mujh ko vishvāsh hai ki ab tum bhī
shaam ko khiḌkī khol dene par
apnī laḌkī ko Toktī hogī
giit gaane se roktī hogī
tum ne
shayad kisi risale mein
koi afsana paDh liya hoga
kho gai hogi rup ki rani
ishq ne zahr kha liya hoga
tum akeli khaDi hui hogi
sar se aanchal Dhalak raha hoga
ya paDosan ke phul se ruKH par
koi dhabba chamak raha hoga
kaam mein honge sare ghar wale
radio gunguna raha hoga
tum pe nashsha sa chha gaya hoga
mujh ko wishwash hai ki ab tum bhi
sham ko khiDki khol dene par
apni laDki ko Tokti hogi
git gane se rokti hogi
- Book : Shaher Men Gaon (Pg. 77)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.