ek kam-sin dost se
merī beTī aur tumhārī
umr meñ itnā farq nahīñ hai
ham donoñ kī dilchaspī
aur shauq alag haiñ
judā judā haiñ ham donoñ ke
ḳhvāb aur nīñdeñ
is se tum andāza kar lo
apne dil meñ
tum jo jazbe paal rahī ho
Thiik nahīñ hai
jis raste par
manzil kā imkān nahīñ hai
us par chalnā
achchhā merī jaan nahīñ hai
meri beTi aur tumhaari
umr mein itna farq nahin hai
hum donon ki dilchaspi
aur shauq alag hain
juda juda hain hum donon ke
KHwab aur ninden
is se tum andaza kar lo
apne dil mein
tum jo jazbe pal rahi ho
Thik nahin hai
jis raste par
manzil ka imkan nahin hai
us par chalna
achchha meri jaan nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.