ek KHat
ek arse se soch rahī huuñ
ki tum ko ḳhat likhūñ
lekin kyā likhūñ
yahī ki añdhere ke bādal chhaT nahīñ rahe haiñ
yā ye likhūñ ki
ḳhauf-o-dahshat ke saa.e
kis tarah kam nahīñ ho rahe haiñ
har taraf chīḳheñ karāheñ lāsheñ dhuāñ
sisaktī javānī bilaktī mamtā
gum-sum bachpan
yā phir bairūt kī kahāniyāñ likhūñ
kashmīr kī sulagtī vādiyoñ kī dāstān likhūñ
bhagal-pur ko mauzūa-e-qalam Thahrā.ūñ
yā srī-lañkā ke fasāne likhūñ
is liye ki
punjab meñ to hādsoñ kā honā vaise hī zarūrī hai
jaise sub.h kā honā
ab maiñ tum ko tab ḳhat likhūñgī
jab har samt se farhat-baḳhsh havā.eñ ā.eñgī
ḳhushī ke paiġhām lā.eñgī
sunahrī dhuup meñ amn kī devī
apnā āñchal lahrā.egī
goliyoñ kī pur-haul āvāzeñ
koyal ke surīle naġhmoñ meñ badal jā.eñgī
logoñ ke zehnoñ se nafratoñ ke bādal chhaT jā.eñge
tab maiñ tum ko ḳhat likhūñgī
ki maiñ bahut ḳhush huuñ
ummīd ki tum bhī ḳhush hoge
ek arse se soch rahi hun
ki tum ko KHat likhun
lekin kya likhun
yahi ki andhere ke baadal chhaT nahin rahe hain
ya ye likhun ki
KHauf-o-dahshat ke sae
kis tarah kam nahin ho rahe hain
har taraf chiKHen karahen lashen dhuan
sisakti jawani bilakti mamta
gum-sum bachpan
ya phir bairut ki kahaniyan likhun
kashmir ki sulagti wadiyon ki dastan likhun
bhagal-pur ko mauzua-e-qalam Thahraun
ya sri-lanka ke fasane likhun
is liye ki
punjab mein to hadson ka hona waise hi zaruri hai
jaise subh ka hona
ab main tum ko tab KHat likhungi
jab har samt se farhat-baKHsh hawaen aaengi
KHushi ke paigham laengi
sunahri dhup mein amn ki dewi
apna aanchal lahraegi
goliyon ki pur-haul aawazen
koyal ke surile naghmon mein badal jaengi
logon ke zehnon se nafraton ke baadal chhaT jaenge
tab main tum ko KHat likhungi
ki main bahut KHush hun
ummid ki tum bhi KHush hoge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.