ek KHayal
chāñd tālāb ke kaTore meñ
raat bhar kheltā hai paanī se
jal-parī kāñch kā badan pahne
us se milne ko roz aatī hai
titlī ḳhushbū pe raqs kartī hai
sabz resham pe phuul khilte haiñ
phuul ḳhushbū kā bāñkpan oḌhe
pañkhuḌī pañkhuḌī bikharte haiñ
jhāḌiyoñ ke qarīb rāhoñ par
jugnuoñ ke charāġh jalte haiñ
saat tāroñ ke rath meñ ho ke savār
chāñd vāpas falak ko jaatā hai
tum kisī shaam ke jharoke meñ
ham se milne vahīñ pe aa jaanā
chand talab ke kaTore mein
raat bhar khelta hai pani se
jal-pari kanch ka badan pahne
us se milne ko roz aati hai
titli KHushbu pe raqs karti hai
sabz resham pe phul khilte hain
phul KHushbu ka bankpan oDhe
pankhuDi pankhuDi bikharte hain
jhaDiyon ke qarib rahon par
jugnuon ke charagh jalte hain
sat taron ke rath mein ho ke sawar
chand wapas falak ko jata hai
tum kisi sham ke jharoke mein
hum se milne wahin pe aa jaana
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.