ek KHayal ek sawal
sab zehnoñ meñ bachpan ke
kuchh naqsh purāne hote haiñ
kuchh shīrīñ kuchh talḳhī vaale
lākhoñ qisse hote haiñ
jab bhī ham in qissoñ ko
dohrāte haiñ
un ke sab kirdār
hameñ yaad aa jaate haiñ
'dāniya' 'zīna' 'gul' aur 'yūsuf'
tum batlāo
kyā tum logoñ ke qissoñ meñ
merā bhī kirdār kahīñ hai
sab zehnon mein bachpan ke
kuchh naqsh purane hote hain
kuchh shirin kuchh talKHi wale
lakhon qisse hote hain
jab bhi hum in qisson ko
dohraate hain
un ke sab kirdar
hamein yaad aa jate hain
'daniya' 'zina' 'gul' aur 'yusuf'
tum batlao
kya tum logon ke qisson mein
mera bhi kirdar kahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.