ek KHayal
kaun ye zehn ke jharokoñ se
ho ke bedār jhāñkne niklā
aap kī yaad kā hayūlā thā
yā ḳhayālāt kī parī koī
sāmne aa.e gar to baat karūñ
dil kī ābād kā.enāt karūñ
aaj rah rah ke sochtā huuñ maiñ
gahrī fikroñ meñ kho gayā huuñ maiñ
din ke hangāme phir qarīb aa.eñ
merī tanhā.iyoñ ko khā jaa.eñ
kaun ye zehn ke jharokon se
ho ke bedar jhankne nikla
aap ki yaad ka hayula tha
ya KHayalat ki pari koi
samne aae gar to baat karun
dil ki aabaad kaenat karun
aaj rah rah ke sochta hun main
gahri fikron mein kho gaya hun main
din ke hangame phir qarib aaen
meri tanhaiyon ko kha jaen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.