ek KHayal ki rau mein
kahīñ sunā hai
ga.e zamānoñ meñ
log jab qāfiloñ kī sūrat
masāfatoñ ko ubuur karte
to qāfile meñ ik aisā hamrāh saath hotā
ki jo safar meñ
tamām logoñ ke pīchhe chaltā
aur us ke zimme ye kaam hotā
ki aage jaate musāfiroñ se
agar koī chiiz gir ga.ī ho
jo koī shai pīchhe rah ga.ī ho
to vo musāfir
tamām chīzoñ ko chuntā jaa.e
aur aane vaale kisī paḌāv meñ saarī chīzeñ
tamām aise musāfiroñ ke havāle kar de
ki jo manāzil kī chaah dil meñ liye shitābī se
apne raste to paaT aa.e
par apnī ujlat meñ kitnī chīzeñ
girā bhī aa.e gañvā bhī aa.e
maiñ sochtā huuñ
ki zindagānī ke is safar meñ
mujhe bhī aisā hī koī kirdār mil gayā hai
ki mere ham-rāh jo bhī ahbāb the
manāzil kī chaah dil meñ liye shitābī se
rāstoñ par bahut hī aage nikal ga.e haiñ
maiñ sab se pīchhe huuñ is safar meñ
so dekhtā huuñ ki rāste meñ
vafā muravvat ḳhulūs-o-īsār mehr-o-ulfat
aur is tarah kī bahut sī chīzeñ
jagah jagah par paḌī huī haiñ
maiñ apne ḳhud-sāḳhta usūloñ kī
zard gaThrī meñ saarī chīzeñ sameTtā huuñ
aur apne ehsās ke jilau meñ
har ik paḌāv pa jaane vāloñ ko DhūñDtā hoñ
par aisā lagtā hai
jaise mere tamām ahbāb manziloñ ko gale lagāne
bahut hī aage nikal ga.e haiñ
yā maiñ hī shāyad
vafā muravvat ḳhulūs-o-īsār mehr-o-ulfat
aur is tarah kī bahut sī chīzeñ sameTne maiñ ka.ī zamāne bitā chukā huuñ
kahin suna hai
gae zamanon mein
log jab qafilon ki surat
masafaton ko ubur karte
to qafile mein ek aisa hamrah sath hota
ki jo safar mein
tamam logon ke pichhe chalta
aur us ke zimme ye kaam hota
ki aage jate musafiron se
agar koi chiz gir gai ho
jo koi shai pichhe rah gai ho
to wo musafir
tamam chizon ko chunta jae
aur aane wale kisi paDaw mein sari chizen
tamam aise musafiron ke hawale kar de
ki jo manazil ki chah dil mein liye shitabi se
apne raste to paT aae
par apni ujlat mein kitni chizen
gira bhi aae ganwa bhi aae
main sochta hun
ki zindagani ke is safar mein
mujhe bhi aisa hi koi kirdar mil gaya hai
ki mere ham-rah jo bhi ahbab the
manazil ki chah dil mein liye shitabi se
raston par bahut hi aage nikal gae hain
main sab se pichhe hun is safar mein
so dekhta hun ki raste mein
wafa murawwat KHulus-o-isar mehr-o-ulfat
aur is tarah ki bahut si chizen
jagah jagah par paDi hui hain
main apne KHud-saKHta usulon ki
zard gaThri mein sari chizen sameTta hun
aur apne ehsas ke jilau mein
har ek paDaw pa jaane walon ko DhunDta hon
par aisa lagta hai
jaise mere tamam ahbab manzilon ko gale lagane
bahut hi aage nikal gae hain
ya main hi shayad
wafa murawwat KHulus-o-isar mehr-o-ulfat
aur is tarah ki bahut si chizen sameTne main kai zamane bita chuka hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.