ek KHwab aur
ḳhvāb ab husn-e-tasavvur ke ufuq se haiñ pare
dil ke ik jazba-e-māsūm ne dekhe the jo ḳhvāb
aur ta.abīroñ ke tapte hue sahrāoñ meñ
tishnagī ābla-pā shola-ba-kaf mauj-e-sarāb
ye to mumkin nahīñ bachpan kā koī din mil jaa.e
yā palaT aa.e koī sā.at-e-nāyāb-e-shabāb
phuuT nikle kisī afsurda tabassum se kiran
yā damak uTThe kisī dast-e-burīda meñ gulāb
aah patthar kī lakīreñ haiñ ki yādoñ ke nuqūsh
kaun likh saktā hai phir umr-e-guzishta kī kitāb
biite lamhāt ke so.e hue tūfānoñ meñ
tairte phirte haiñ phūTī huī āñkhoñ ke hubāb
tābish-e-rañg-e-shafaq ātish-e-rū-e-ḳhurshīd
mil ke chehre pe sahar aa.ī hai ḳhūn-e-ahbāb
jaane kis moḌ pe kis raah meñ kyā biitī hai
kis se mumkin hai tamannāoñ ke zaḳhmoñ kā hisāb
āstīnoñ ko pukāreñge kahāñ tak aañsū
ab to dāman ko pakaḌte haiñ lahū ke girdāb
dekhtī phirtī hai ek ek muñh ḳhāmoshī
jaane kyā baat hai sharminda hai andāz-e-ḳhitāb
dar-ba-dar Thokareñ khāte hue phirte haiñ savāl
aur mujrim kī tarah un se gurezāñ hai javāb
sarkashī phir maiñ tujhe aaj sadā detā huuñ
maiñ tirā shā.ir-e-āvāra o be-bāk-o-ḳharāb
pheñk phir jazba-e-be-tāb kī aalam pe kamand
ek ḳhvāb aur bhī ai himmat-e-dushvār-pasand
KHwab ab husn-e-tasawwur ke ufuq se hain pare
dil ke ek jazba-e-masum ne dekhe the jo KHwab
aur tabiron ke tapte hue sahraon mein
tishnagi aabla-pa shola-ba-kaf mauj-e-sarab
ye to mumkin nahin bachpan ka koi din mil jae
ya palaT aae koi saat-e-nayab-e-shabab
phuT nikle kisi afsurda tabassum se kiran
ya damak uTThe kisi dast-e-burida mein gulab
aah patthar ki lakiren hain ki yaadon ke nuqush
kaun likh sakta hai phir umr-e-guzishta ki kitab
bite lamhat ke soe hue tufanon mein
tairte phirte hain phuTi hui aankhon ke hubab
tabish-e-rang-e-shafaq aatish-e-ru-e-KHurshid
mil ke chehre pe sahar aai hai KHun-e-ahbab
jaane kis moD pe kis rah mein kya biti hai
kis se mumkin hai tamannaon ke zaKHmon ka hisab
aastinon ko pukarenge kahan tak aansu
ab to daman ko pakaDte hain lahu ke girdab
dekhti phirti hai ek ek munh KHamoshi
jaane kya baat hai sharminda hai andaz-e-KHitab
dar-ba-dar Thokaren khate hue phirte hain sawal
aur mujrim ki tarah un se gurezan hai jawab
sarkashi phir main tujhe aaj sada deta hun
main tera shair-e-awara o be-bak-o-KHarab
phenk phir jazba-e-be-tab ki aalam pe kamand
ek KHwab aur bhi ai himmat-e-dushwar-pasand
- Book : Ek Khvab aur (Pg. 17)
- Publication : Liberty Art Press Proprietors: Maktaba Jamia Limited Pataudi House, Dariyaganj, New Delhi (2001)
- Edition : 2001
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.