ek KHwab
saath agar tum ho to phir ham
hañste hañste chalte chalte
duur ākāsh kī had tak jaa.eñ
kaalī kaalī sī daldal se
taptā tāñbā phuuT rahā ho
makḌī ke jaale kā fiita
kaaT ke ham us baaġh meñ jaa.eñ
jis meñ koī kabhī na gayā ho
kokanār ke phuul khile hoñ
bhañvre un ko chuum rahe hoñ
patthar se paanī chaltā ho
maiñ paanī kā chullū bhar kar
jab mārūñ chehre pe tumhāre
pahle tum ko saañs na aa.e
aur phir mere saath lipaT kar
aise chhūTe dhaar hañsī kī
jaise chashma phuuT rahā ho
sath agar tum ho to phir hum
hanste hanste chalte chalte
dur aakash ki had tak jaen
kali kali si daldal se
tapta tanba phuT raha ho
makDi ke jale ka fita
kaT ke hum us bagh mein jaen
jis mein koi kabhi na gaya ho
kokanar ke phul khile hon
bhanwre un ko chum rahe hon
patthar se pani chalta ho
main pani ka chullu bhar kar
jab marun chehre pe tumhaare
pahle tum ko sans na aae
aur phir mere sath lipaT kar
aise chhuTe dhaar hansi ki
jaise chashma phuT raha ho
- Book : sarabon ke sadaf (Pg. 95)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.