ek KHwab ki duri par
ik ḳhvāhish thī
kabhī aisā ho
kabhī aisā ho ki añdhere meñ
(jab dil vahshat kartā ho bahut
jab ġham shiddat kartā ho bahut)
koī tiir chale
koī tiir chale jo tarāzū ho mire siine meñ
ik ḳhvāhish thī
kabhī aisā ho
kabhī aisā ho ki añdhere meñ
(jab nīndeñ kam hotī hoñ bahut
jab āñkheñ nam hotī hoñ bahut)
sar-e-ā.īna koī sham.a jale
koī sham.a jale aur bujh jaa.e magar aks rahe ā.īne meñ
ik ḳhvāhish thī
vo ḳhvāhish puurī ho bhī chukī
dil jaise derīna dushman kī sāzish puurī ho bhī chukī
aur ab yuuñ hai
jiine aur jiite rahne ke biich ek ḳhvāb kī
duurī hai
vo duurī ḳhatm nahīñ hotī
aur ye duurī sab ḳhvāb dekhne vāloñ kī majbūrī hai
majbūrī ḳhatm nahīñ hotī
ek KHwahish thi
kabhi aisa ho
kabhi aisa ho ki andhere mein
(jab dil wahshat karta ho bahut
jab gham shiddat karta ho bahut)
koi tir chale
koi tir chale jo taraazu ho mere sine mein
ek KHwahish thi
kabhi aisa ho
kabhi aisa ho ki andhere mein
(jab ninden kam hoti hon bahut
jab aankhen nam hoti hon bahut)
sar-e-aina koi shama jale
koi shama jale aur bujh jae magar aks rahe aaine mein
ek KHwahish thi
wo KHwahish puri ho bhi chuki
dil jaise derina dushman ki sazish puri ho bhi chuki
aur ab yun hai
jine aur jite rahne ke bich ek KHwab ki
duri hai
wo duri KHatm nahin hoti
aur ye duri sab KHwab dekhne walon ki majburi hai
majburi KHatm nahin hoti
- Book : Mahr-e-Do Neem (Pg. 29)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.