ek KHwab
guzishta shab maiñn ne ek ḳhvāb dekhā
khulā apne ghar kā har ek baab dekhā
ḳhvāboñ meñ hī khul ga.ī niiñd merī
baġhal meñ khaḌā ek māhtāb dekhā
munavvar bahut thā bahut hī kashish thī
ajab us meñ rañgat ajab taab dekhā
phir khulī aañkh merī to kuchh bhī nahīñ thā
maiñ tanhā thā lekin maiñ tanhā nahīñ thā
tasavvur meñ thā par thā saath us kā
rakkhā thā kabhī naam māhtāb jis kā
ḳhvāboñ-ḳhayāloñ se bāhar to aao
chalī aao jānāñ chalī ab to aao...
guzishta shab mainn ne ek KHwab dekha
khula apne ghar ka har ek bab dekha
KHwabon mein hi khul gai nind meri
baghal mein khaDa ek mahtab dekha
munawwar bahut tha bahut hi kashish thi
ajab us mein rangat ajab tab dekha
phir khuli aankh meri to kuchh bhi nahin tha
main tanha tha lekin main tanha nahin tha
tasawwur mein tha par tha sath us ka
rakkha tha kabhi nam mahtab jis ka
KHwabon-KHayalon se bahar to aao
chali aao jaanan chali ab to aao
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.