ek KHwahish
ye ḳhvāhish hai
ki maiñ giilī zamīñ par
apne daa.eñ haath kī uñglī se
ik be-hāshiya tasvīr khīñchūñ
jo mire mahbūb ke chehre ke tajrīdī tasavvur se
muzayyan ho
havā, gulshan kī dīvāroñ ke rauzan se
idhar aa.e
to is tasvīr meñ apne mo.attar rañg-e-bū de
mire ḳhāke kī tajrīdeñ miTā de
uThā kar giilī miTTī se
sajā de merī āñkhoñ meñ
ye ḳhvāhish hai merī
ye KHwahish hai
ki main gili zamin par
apne daen hath ki ungli se
ek be-hashiya taswir khinchun
jo mere mahbub ke chehre ke tajridi tasawwur se
muzayyan ho
hawa, gulshan ki diwaron ke rauzan se
idhar aae
to is taswir mein apne moattar rang-e-bu de
mere KHake ki tajriden miTa de
uTha kar gili miTTi se
saja de meri aankhon mein
ye KHwahish hai meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.