ek lang distance call
tumhārā ḳhat mujh ko mil gayā hai
abhī paḌhā hai
mujhe to bas itnā pūchhnā hai
udaas kyoñ ho udaas kyoñ ho
maiñ pūchhtī huuñ udaas kyoñ ho
tumhārī āvāz itnī maddham hai
aise lagtā hai
jaise apne hī kaan meñ
koī baat kah kar samajh rahe ho
ki baat mujh tak pahuñch ga.ī hai
tumhārī āvāz
rāstoñ kī masāfatoñ meñ bhaTak rahī hai
tumhaara KHat mujh ko mil gaya hai
abhi paDha hai
mujhe to bas itna puchhna hai
udas kyon ho udas kyon ho
main puchhti hun udas kyon ho
tumhaari aawaz itni maddham hai
aise lagta hai
jaise apne hi kan mein
koi baat kah kar samajh rahe ho
ki baat mujh tak pahunch gai hai
tumhaari aawaz
raston ki masafaton mein bhaTak rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.