ek laDki
gulāb chehre pe muskurāhaT
chamaktī āñkhoñ meñ shoḳh jazbe
vo jab bhī college kī sīḌhiyoñ se
saheliyoñ ko liye utartī
to aise lagtā thā jaise dil meñ utar rahī ho
kuchh is tayaqqun se baat kartī thī jaise duniyā
usī kī āñkhoñ se dekhtī ho
vo apne raste meñ dil bichhātī huī nigāhoñ se hañs ke kahtī
tumhāre jaise bahut se laḌkoñ se maiñ ye bāteñ
bahut se barsoñ se sun rahī huuñ
maiñ sāhiloñ kī havā huuñ niile samundaroñ ke liye banī huuñ
vo sāhiloñ kī havā sī laḌkī
jo raah chaltī to aise lagtā thā jaise dil meñ utar rahī ho
vo kal milī to usī tarah thī
chamaktī āñkhoñ meñ shoḳh jazbe gulāb chehre pe muskurāhaT
ki jaise chāñdī pighal rahī ho
magar jo bolī to us ke lahje meñ vo thakan thī
ki jaise sadiyoñ se dasht-e-zulmat meñ chal rahī ho
gulab chehre pe muskurahaT
chamakti aankhon mein shoKH jazbe
wo jab bhi college ki siDhiyon se
saheliyon ko liye utarti
to aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho
kuchh is tayaqqun se baat karti thi jaise duniya
usi ki aankhon se dekhti ho
wo apne raste mein dil bichhati hui nigahon se hans ke kahti
tumhaare jaise bahut se laDkon se main ye baaten
bahut se barson se sun rahi hun
main sahilon ki hawa hun nile samundaron ke liye bani hun
wo sahilon ki hawa si laDki
jo rah chalti to aise lagta tha jaise dil mein utar rahi ho
wo kal mili to usi tarah thi
chamakti aankhon mein shoKH jazbe gulab chehre pe muskurahaT
ki jaise chandi pighal rahi ho
magar jo boli to us ke lahje mein wo thakan thi
ki jaise sadiyon se dasht-e-zulmat mein chal rahi ho
- Book : Barzakh (Pg. 123)
- Author : Amjad Islam Amjad
- Publication : Mawara Publishers, Bahawalpur Road Lahore (1986)
- Edition : 1986
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.