ek laDki ki maut
is se qabl
maut tumheñ ek qatra banā de
dūsroñ kī palkoñ par
aTak sakne kī quvvat se labrez
agar tum paḌhnā chāho in shabdoñ ko
jo havā par rakhe jaate haiñ
ki un kī ḳhushbū
qaid kī zillat se rū-shanās na ho
in meñ ishāra hai
kohsāroñ par buland hone kā
jab chhoTe chhoTe patthar
luḌhkāne kī koshish karte haiñ nīche
aur tum
un ke saroñ ko kuchal kar
apnī sāñsoñ meñ buland hotī ho
maidānoñ kā ishāra
jahāñ kuchh der qabl ghar ābād the
ab vahāñ taaza havā
rukī huī siskiyāñ bahā le ga.ī hai
purāne log
is liye na.e-pan se ghabrāte haiñ
jaldī badalte vaqt kā nazāra
yahāñ se behtar kahāñ hogā
tum na.e-pan se ḳhauf-zada hue baġhair
na.ī soch kā hathiyār
panje meñ jakḌe
us kī āñkhoñ par sho.ale barsā denā
tumhāre phephaḌoñ meñ aTaktī sāñseñ
nā-umīdiyoñ ko māyūs kar ke
zindagī kī suhūlat talāsh kareñ
to unheñ paḌhnā
agar chāho to
shabd apnā rang badalte rahte haiñ
is se qabl
maut tumhein ek qatra bana de
dusron ki palkon par
aTak sakne ki quwwat se labrez
agar tum paDhna chaho in shabdon ko
jo hawa par rakhe jate hain
ki un ki KHushbu
qaid ki zillat se ru-shanas na ho
in mein ishaara hai
kohsaron par buland hone ka
jab chhoTe chhoTe patthar
luDhkane ki koshish karte hain niche
aur tum
un ke saron ko kuchal kar
apni sanson mein buland hoti ho
maidanon ka ishaara
jahan kuchh der qabl ghar aabaad the
ab wahan taza hawa
ruki hui siskiyan baha le gai hai
purane log
is liye nae-pan se ghabraate hain
jaldi badalte waqt ka nazara
yahan se behtar kahan hoga
tum nae-pan se KHauf-zada hue baghair
nai soch ka hathiyar
panje mein jakDe
us ki aankhon par shoale barsa dena
tumhaare phephaDon mein aTakti sansen
na-umidiyon ko mayus kar ke
zindagi ki suhulat talash karen
to unhen paDhna
agar chaho to
shabd apna rang badalte rahte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.