ek laDki shadan
Interesting Fact
This poem is a memorial of my dear daughter Irshad Batool ... I have been writing poems for children for some time. My eldest daughter Irshad Batool, whom I affectionately called "Shadan", used to read them with great interest. This is also one of the poems I wrote in October 1929, when I wrote several poems for the anniversary of the magazine "Phool". I was traveling at that time and my children were in Jalandhar where Shadan was reciting the Holy Quran in Madrasa Al-Banat. The purpose of this poem was just to tease her a bit. I wrote that she reads nothing. She spends the whole day in sports. The idea was that at first she would be happy to see this poem in her own name. When she reads it, she will read it and it will go mad. And in the same way, there will be a lot of laughter. When I returned home that evening, i learned that, Shadan, had fell in a well and was no more. And at the time when I was burying my daughter in front of my own eyes, I received the magazine 'Phool' in which that nazm was published.- Hafiz Jalandhari
ik laḌkī thī chhoTī sī
dublī sī aur moTī sī
nannhī sī aur munnī sī
bilkul hī than mathnī sī
us ke baal the kaale se
sīdhe ghuñghrāle se
muñh par us ke laalī sī
chaTTī sī maTyālī sī
us kī naak pakoḌī sī
nokīlī sī chauḌī sī
āñkheñ kaalī niilī sī
surḳh safed aur piilī sī
kapḌe us ke thaile se
ujle se aur maile se
ye laḌkī thī bholī sī
bī bī sī aur golī sī
har dam khel thā kaam us kā
shādāñ bī-bī naam thā us kā
hañstī thī aur rotī thī
jāgtī thī aur sotī thī
har dam us kī ammāñ-jān
khīñchā kartī us ke kaan
kahtī thiiñ maktab ko jā
kheloñ meñ mat vaqt gañvā
ammī sab kuchh kahtī thī
shādāñ kheltī rahtī thī
ik din shādāñ khel meñ thī
aa.e us ke abbā jī
vo lahore se aa.e the
chīzeñ vīzeñ laa.e the
box meñ thiiñ ye chīzeñ sab
ḳhair tamāshā dekho ab
abbā ne aate hī kahā
shādāñ aa kuchh paḌh ke sunā
gum thī ik muddat se kitāb
kyā detī is vaqt javāb
do bahneñ thiiñ shādāñ kī
chhoTī nannhī munnī sī
naam thā mañjhlī kā sīmāñ
guḌiyā sī nannhī nādāñ
vo bolī ai abbā jī
ab to paḌhtī huuñ maiñ bhī
billī hai c a T cat
chuhā hai r a T rat
muñh mouth hai naak hai nose
aur gulāb kā phuul hai rose
maiñ ne abbā jī dekhā
ḳhuub sabaq hai yaad kiyā
shādāñ ne us vaqt kahā
maiñ ne hī to sikhāyā thā
lekin abbā ne chup chaap
kholā box ko uTh kar aap
is meñ jo chīzeñ nikleñ
saarī sīmāñ ko de deñ
ik chīnī kī guḌiyā thī
ik jaadū kī puḌiyā thī
ik nannhī sī thī motor
aap hī chaltī thī far-far
geñdoñ kā ik joḌā thā
ik lakḌī kā ghoḌā thā
ik siiTī thī ik baajā
ek thā miTTī kā raajā
shādāñ ko kuchh bhī na milā
ya.anī khel kī paa.ī sazā
ab vo ġhaur se paḌhtī hai
puure taur se paḌhtī hai
ek laDki thi chhoTi si
dubli si aur moTi si
nannhi si aur munni si
bilkul hi than mathni si
us ke baal the kale se
sidhe ghunghrale se
munh par us ke lali si
chaTTi si maTyali si
us ki nak pakoDi si
nokili si chauDi si
aankhen kali nili si
surKH safed aur pili si
kapDe us ke thaile se
ujle se aur maile se
ye laDki thi bholi si
bi bi si aur goli si
har dam khel tha kaam us ka
shadan bi-bi nam tha us ka
hansti thi aur roti thi
jagti thi aur soti thi
har dam us ki amman-jaan
khincha karti us ke kan
kahti thin maktab ko ja
khelon mein mat waqt ganwa
ammi sab kuchh kahti thi
shadan khelti rahti thi
ek din shadan khel mein thi
aae us ke abba ji
wo lahore se aae the
chizen wizen lae the
box mein thin ye chizen sab
KHair tamasha dekho ab
abba ne aate hi kaha
shadan aa kuchh paDh ke suna
gum thi ek muddat se kitab
kya deti is waqt jawab
do bahnen thin shadan ki
chhoTi nannhi munni si
nam tha manjhli ka siman
guDiya si nannhi nadan
wo boli ai abba ji
ab to paDhti hun main bhi
billi hai c a T cat
chuha hai r a T rat
munh mouth hai nak hai nose
aur gulab ka phul hai rose
main ne abba ji dekha
KHub sabaq hai yaad kiya
shadan ne us waqt kaha
main ne hi to sikhaya tha
lekin abba ne chup chap
khola box ko uTh kar aap
is mein jo chizen niklen
sari siman ko de den
ek chini ki guDiya thi
ek jadu ki puDiya thi
ek nannhi si thi motor
aap hi chalti thi far-far
gendon ka ek joDa tha
ek lakDi ka ghoDa tha
ek siTi thi ek baja
ek tha miTTi ka raja
shadan ko kuchh bhi na mila
yani khel ki pai saza
ab wo ghaur se paDhti hai
pure taur se paDhti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.