ek laDki
vo bosīda kapḌoñ meñ malbūs
mailī kuchailī vo dublī sī laḌkī
vo ma.asūm aur bholī sī laḌkī
jo har roz aatī thī merī dukāñ par
jhijhakte hue
apne maile se hāthoñ ko aage baḌhā kar
ye kahtī thī mujh se baḌe bhole-pan se
ki baabū baḌī bhuuk lagtī hai
bas aaTh aane hī de do
magar aaj phir chhe baras baad
jab maiñ ne dekhā
to itnā baḌā farq paayā hai us meñ
ki vo saaf suthre libāsoñ meñ kis shaan se ghūmtī hai
javānī kī poshāk meñ
us kā gorā badan aate jaate hue
rāhgīroñ ko apnī taraf khīñchtā hai
vo husn-o-javānī se nikhrī huī hai
use vaqt ne ek tohfa diyā hai
sunā hai ki ab peT bharne kī ḳhātir
vo hāthoñ ko phailā.e phirtī nahīñ hai
vo ab shahr ke naujavānoñ ke hāthoñ
ra.īsoñ ke hāthoñ sharīfoñ ke hāthoñ
javānī kā mahkā chaman bechtī hai
vo apnā kaTīlā sajīlā rasīlā badan bechtī hai
wo bosida kapDon mein malbus
maili kuchaili wo dubli si laDki
wo masum aur bholi si laDki
jo har roz aati thi meri dukan par
jhijhakte hue
apne maile se hathon ko aage baDha kar
ye kahti thi mujh se baDe bhole-pan se
ki babu baDi bhuk lagti hai
bas aaTh aane hi de do
magar aaj phir chhe baras baad
jab main ne dekha
to itna baDa farq paya hai us mein
ki wo saf suthre libason mein kis shan se ghumti hai
jawani ki poshak mein
us ka gora badan aate jate hue
rahgiron ko apni taraf khinchta hai
wo husn-o-jawani se nikhri hui hai
use waqt ne ek tohfa diya hai
suna hai ki ab peT bharne ki KHatir
wo hathon ko phailae phirti nahin hai
wo ab shahr ke naujawanon ke hathon
raison ke hathon sharifon ke hathon
jawani ka mahka chaman bechti hai
wo apna kaTila sajila rasila badan bechti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.