ek lambi gunj
pūrab des se phir uTThī
chīḳh kī lambī guuñj
qatre ban kar baras paḌe
TuuTe TuuTe bismil lafz
kānoñ meñ naqāre baaje
rag rag meñ chiñgārī dauḌī
dabī dabī saarī aaheñ
ThanDe sīnoñ meñ ubhrīñ
sūkhe hoñToñ se niklīñ
bujhī bujhī sī āñkhoñ meñ
dekh umañgoñ kī billī
taḌap taḌap ke chamke bijlī
lahar lahar Takrā.e
tūfānoñ ko jagā.e
suno suno
us paar ufuq ke
chīḳh kī lambī guuñj
purab des se phir uTThi
chiKH ki lambi gunj
qatre ban kar baras paDe
TuTe TuTe bismil lafz
kanon mein naqare baje
rag rag mein chingari dauDi
dabi dabi sari aahen
ThanDe sinon mein ubhrin
sukhe honTon se niklin
bujhi bujhi si aankhon mein
dekh umangon ki billi
taDap taDap ke chamke bijli
lahar lahar Takrae
tufanon ko jagae
suno suno
us par ufuq ke
chiKH ki lambi gunj
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.