ek lambi kafir laDki
vaadī kī sab se lambī laḌkī ke jism ke sab masāmoñ se
resham se zyāda mulā.em aur narm ḳhamoshī meñ
ghanTiyoñ kī āvāzeñ aa rahī thiiñ
barkhā kī us nam-zada raat meñ
jab us ke jism pe qaus-e-quzah chamkī
to ghanTiyāñ tez tez bajne lagīñ
mire kānoñ meñ āhaTeñ aa rahī thiiñ
dhund se bhī narm aur mulā.em bādaloñ kī dabe paañv āhaTeñ
vo jab resham ke kachche tāroñ se banī huī
raat ke farsh par leTī
to qaus-e-quzah aur bhī shoḳh aur garm rañgoñ meñ Dhalne lagī
vo saiñkaḌoñ rañgoñ se murattab-shuda laḌkī
raat ga.e tak garm rañgoñ meñ pighaltī ga.ī
sub.h hone par sūraj kī pahlī kiran
rauzan se kamre meñ dāḳhil huī
to us ke jism se
raat kī ḳhvābīda ghanTiyoñ kī āvāzeñ sun kar
aur us ke jism pe so.e hue garm rañgoñ ko dekh kar
ek dam sharmā ga.ī
vaadī kī sab se lambī laḌkī
dhund se bhī narm aur resham se mulā.em
wadi ki sab se lambi laDki ke jism ke sab masamon se
resham se zyaada mulaem aur narm KHamoshi mein
ghanTiyon ki aawazen aa rahi thin
barkha ki us nam-zada raat mein
jab us ke jism pe qaus-e-quzah chamki
to ghanTiyan tez tez bajne lagin
mere kanon mein aahaTen aa rahi thin
dhund se bhi narm aur mulaem baadalon ki dabe panw aahaTen
wo jab resham ke kachche taron se bani hui
raat ke farsh par leTi
to qaus-e-quzah aur bhi shoKH aur garm rangon mein Dhalne lagi
wo sainkaDon rangon se murattab-shuda laDki
raat gae tak garm rangon mein pighalti gai
subh hone par suraj ki pahli kiran
rauzan se kamre mein daKHil hui
to us ke jism se
raat ki KHwabida ghanTiyon ki aawazen sun kar
aur us ke jism pe soe hue garm rangon ko dekh kar
ek dam sharma gai
wadi ki sab se lambi laDki
dhund se bhi narm aur resham se mulaem
- Book : Prindey,phool taalab (Pg. 58)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.