ek lamha
aaj is shab ke sannāTe meñ niiñd ne āñkheñ pherī haiñ
shahr thakā-hārā ḳhāmoshī kī bāhoñ meñ sotā hai
yahāñ vahāñ ḳhvāboñ ke qatre shabnam ban kar girte haiñ
kabhī kabhī kuttoñ kī āvāzeñ galiyoñ se uThtī haiñ
saḌkoñ par din kī raunaq ke bhuut pareshāñ phirte haiñ
zaḳhmoñ kī mānind hasīñ jismoñ pe baraste haiñ sikke
shīshoñ ke pīchhe afsurda sham.eñ ashk bahātī haiñ
dast-e-talab choroñ ko tārīkī meñ raah dikhātā hai
lamhoñ ke sāhil par shorish-e-hastī lahreñ gintī hai
jaane kitnī ummīdeñ is raat ke dil meñ rotī haiñ
aur mirī nazroñ ke aage
imkānāt ke bhīge bhīge sāyoñ meñ jugnū kī tarah
fikr-o-taḳhayyul kā ik lamha dhīre dhīre ubhrā hai
kitne ehsāsāt taḌap uTThe haiñ raat ke siine meñ
haa.e us lamhe kī āñkheñ kaash maiñ un meñ utar pā.ūñ
aaj is shab ke sannaTe mein nind ne aankhen pheri hain
shahr thaka-haara KHamoshi ki bahon mein sota hai
yahan wahan KHwabon ke qatre shabnam ban kar girte hain
kabhi kabhi kutton ki aawazen galiyon se uThti hain
saDkon par din ki raunaq ke bhut pareshan phirte hain
zaKHmon ki manind hasin jismon pe baraste hain sikke
shishon ke pichhe afsurda shamen ashk bahati hain
dast-e-talab choron ko tariki mein rah dikhata hai
lamhon ke sahil par shorish-e-hasti lahren ginti hai
jaane kitni ummiden is raat ke dil mein roti hain
aur meri nazron ke aage
imkanat ke bhige bhige sayon mein jugnu ki tarah
fikr-o-taKHayyul ka ek lamha dhire dhire ubhra hai
kitne ehsasat taDap uTThe hain raat ke sine mein
hae us lamhe ki aankhen kash main un mein utar paun
- Book : Lambi Barish (Pg. 30)
- Author : Balraj Komal
- Publication : Sahitya Akademi, New Delhi (2002)
- Edition : 2002
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.