ek lamha jo mera hai
jab maiñ bolūñ
aur koī mirī āvāz sune
yuuñ lagtā hai
ye lamha ham donoñ kā hai
ye ik lamha
jo mere andar kī sachchā.ī ko us tak pahchāne kā
aur jazboñ kī tarsīl kā ek vasīla hai
ye lamha vaqt ke pur-shafqat hāthoñ ne jaise
donoñ meñ taqsīm kiyā
kuchh us kā hai
kuchh merā hai
jab vo bole
aur maiñ us kī āvāz sunūñ
yuuñ lagtā hai
āvāz ke is afsūñ meñ Duub ke sochtī huuñ
yuuñ lagtā hai
jaise ye lamha
bas merā hai
jab main bolun
aur koi meri aawaz sune
yun lagta hai
ye lamha hum donon ka hai
ye ek lamha
jo mere andar ki sachchai ko us tak pahchane ka
aur jazbon ki tarsil ka ek wasila hai
ye lamha waqt ke pur-shafqat hathon ne jaise
donon mein taqsim kiya
kuchh us ka hai
kuchh mera hai
jab wo bole
aur main us ki aawaz sunun
yun lagta hai
aawaz ke is afsun mein Dub ke sochti hun
yun lagta hai
jaise ye lamha
bas mera hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.