ek lamha
jab bhī chuum letā huuñ un hasīn āñkhoñ ko
sau charāġh añdhere meñ jhilmilāne lagte haiñ
ḳhushk ḳhushk hoñToñ meñ jaise dil khiñch aatā hai
dil meñ kitne ā.īne thartharāne lagte haiñ
phuul kyā shagūfe kyā chāñd kyā sitāre kyā
sab raqīb qadmoñ par sar jhukāne lagte haiñ
zehn jaag uThtā hai ruuh jaag uThtī hai
naqsh ādmiyat ke jagmagāne lagte haiñ
lau nikalne lagtī hai mandiroñ ke siine se
devtā fazāoñ meñ muskurāne lagte haiñ
raqs karne lagtī haiñ mūrateñ ajantā kī
muddatoñ ke lab-basta ġhaar gaane lagte haiñ
phuul khilne lagte haiñ ujḌe ujḌe gulshan meñ
tishna tishna giitī par abr chhāne lagte haiñ
lamha bhar ko ye duniyā zulm chhoḌ detī hai
lamha bhar ko sab patthar muskurāne lagte haiñ
jab bhi chum leta hun un hasin aankhon ko
sau charagh andhere mein jhilmilane lagte hain
KHushk KHushk honTon mein jaise dil khinch aata hai
dil mein kitne aaine thartharane lagte hain
phul kya shagufe kya chand kya sitare kya
sab raqib qadmon par sar jhukane lagte hain
zehn jag uThta hai ruh jag uThti hai
naqsh aadmiyat ke jagmagane lagte hain
lau nikalne lagti hai mandiron ke sine se
dewta fazaon mein muskurane lagte hain
raqs karne lagti hain muraten ajanta ki
muddaton ke lab-basta ghaar gane lagte hain
phul khilne lagte hain ujDe ujDe gulshan mein
tishna tishna giti par abr chhane lagte hain
lamha bhar ko ye duniya zulm chhoD deti hai
lamha bhar ko sab patthar muskurane lagte hain
- Book : Nai Nazm ka safar (Pg. 130)
- Author : Khalilur Rahman Azmi
- Publication : NCPUL, New Delhi (2011)
- Edition : 2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.