ek lamha
maiñ ek lamha
nigār-e-hastī kā intihā.ī latīf paikar
jalāl-e-hastī meñ sar uThā.e
jamāl-e-hastī kī sarḳhushī meñ
na jaane kab se khaḌā huā huuñ
karoḌoñ sadiyāñ guzar chukī haiñ
magar ye lamha
charāġh-e-hastī meñ lau numā sā
har ek sapne har ek manzar meñ
zau-fishāñ hai
maiñ ek lamha huuñ ḳhāmushī kā
maiñ ek lamha huuñ zindagī kā
maiñ ek lamha
bas ek lamha
khaḌā huuñ tanhā
na jaane kab se
jamāl-e-hastī kā nuur ban kar
kamāl-e-hastī kā nuur le kar
main ek lamha
nigar-e-hasti ka intihai latif paikar
jalal-e-hasti mein sar uThae
jamal-e-hasti ki sarKHushi mein
na jaane kab se khaDa hua hun
karoDon sadiyan guzar chuki hain
magar ye lamha
charagh-e-hasti mein lau numa sa
har ek sapne har ek manzar mein
zau-fishan hai
main ek lamha hun KHamushi ka
main ek lamha hun zindagi ka
main ek lamha
bas ek lamha
khaDa hun tanha
na jaane kab se
jamal-e-hasti ka nur ban kar
kamal-e-hasti ka nur le kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.