ek lamha zindagi
dhuup kī dukān se
ratjagā ḳharīd kar
shaam ne pahan liyā hai
jab ki dūsrī taraf
ḳhāmushī ke paañv se
rāsta ulajh gayā
zindagī ke farsh se ik āvāra-gard yaad
Dagmagā ke gir paḌī
aur jaate vaqt mere kaan meñ ye kah ga.ī
zindagī ke canvas ko khol
is meñ rang bhar
raushnī se gaañv tak ke rāste ko yuuñ banā
rāste meñ dostī ke ik hazār peḌ hoñ
ḳhvāboñ ke hasīñ parinde
chahchahāte bāġhoñ meñ hoñ naġhma-zan
muskurā ke zindagī se roz mil
muskurā ke zindagī se baat kar
dhup ki dukan se
ratjaga KHarid kar
sham ne pahan liya hai
jab ki dusri taraf
KHamushi ke panw se
rasta ulajh gaya
zindagi ke farsh se ek aawara-gard yaad
Dagmaga ke gir paDi
aur jate waqt mere kan mein ye kah gai
zindagi ke canwas ko khol
is mein rang bhar
raushni se ganw tak ke raste ko yun bana
raste mein dosti ke ek hazar peD hon
KHwabon ke hasin parinde
chahchahate baghon mein hon naghma-zan
muskura ke zindagi se roz mil
muskura ke zindagi se baat kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.