ek mamuli sa manzar
thamī huī hai der se bārish
der se ik kāġhaz kī kashtī
tair rahī hai paanī meñ
kashtī jis kāġhaz se banī hai
us par koī phuul banā hai
phuul jo is duniyā kā nahīñ hai
do chīñTe kashtī ke musāfir bane hue haiñ
Dag-mag Dag-mag
Dag-mag Dag-mag
kāġhaz ab galne bhī lagā hai
kashtī side stand vaalī ik cycle jaise
ek taraf ko jhukī huī hai
ek bhī jhoñkā
us kashtī par ek qayāmat lā saktā hai
ik titlī
jo jabr-e-bahār se bachī huī hai
phuul dekh kar
phuul jo is duniyā kā nahīñ hai
us kashtī par aa baiThī hai
jaise bādbāñ khulte haiñ nā
us ne apne par khole haiñ
Dūbtī kashtī sañbhal ga.ī hai
chēñToñ kī jaañ bachī huī hai
thami hui hai der se barish
der se ek kaghaz ki kashti
tair rahi hai pani mein
kashti jis kaghaz se bani hai
us par koi phul bana hai
phul jo is duniya ka nahin hai
do chinTe kashti ke musafir bane hue hain
Dag-mag Dag-mag
Dag-mag Dag-mag
kaghaz ab galne bhi laga hai
kashti side stand wali ek cycle jaise
ek taraf ko jhuki hui hai
ek bhi jhonka
us kashti par ek qayamat la sakta hai
ek titli
jo jabr-e-bahaar se bachi hui hai
phul dekh kar
phul jo is duniya ka nahin hai
us kashti par aa baiThi hai
jaise baadban khulte hain na
us ne apne par khole hain
Dubti kashti sanbhal gai hai
cheenTon ki jaan bachi hui hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.