ek mahbus nazm
darvāza piiTā jā rahā hai
mere jism par zaḳhm aur niil, hare hote jā rahe haiñ
mujhe yaad aayā
gandī gāliyāñ aur maile būToñ kī bhārī eḌiyāñ
mere āsāb aur jism ko shal kar rahī thiiñ
kandhoñ kūlhoñ aur rānoñ par
bad-bū-dār dāñtoñ ke nishān
dahaktī salāḳhoñ se miTāne kī koshish bhī kī ga.ī
maiñ ūñchī khiḌkī se chhalāñg lagā saktā thaa!
magar saada kāġhaz par dastaḳhat ke baġhair
mujhe is suhulat kī ijāzat bhī nahīñ dī ga.ī
vo sab mere zinda hāthoñ se ziyādā
merī murda āñkhoñ se ḳhauf-zada the shāyad
maiñ ne unheñ batā diyā thā
ki maiñ sirf be-maqsad zindagī
aur be vaq.at maut se Dartā huuñ
maiñ ne kahā
zaḳhmī dāñtoñ ke saath mujh se hañsā nahīñ jaatā
laao kāġhaz idhar laao
maiñ us par ek zor-dār qahqaha likh kar dastaḳhat kar duuñ
mujhe yaad hai
vo thak haar ke behosh hone chale ga.e the
gandī gāliyoñ aur būToñ kī
bhārī eḌiyoñ ke saath
darvāza phir piiTā jā rahā hai!
darwaza piTa ja raha hai
mere jism par zaKHm aur nil, hare hote ja rahe hain
mujhe yaad aaya
gandi galiyan aur maile buTon ki bhaari eDiyan
mere aasab aur jism ko shal kar rahi thin
kandhon kulhon aur ranon par
bad-bu-dar danton ke nishan
dahakti salaKHon se miTane ki koshish bhi ki gai
main unchi khiDki se chhalang laga sakta tha!
magar sada kaghaz par dastaKHat ke baghair
mujhe is suhulat ki ijazat bhi nahin di gai
wo sab mere zinda hathon se ziyaada
meri murda aankhon se KHauf-zada the shayad
main ne unhen bata diya tha
ki main sirf be-maqsad zindagi
aur be waqat maut se Darta hun
main ne kaha
zaKHmi danton ke sath mujh se hansa nahin jata
lao kaghaz idhar lao
main us par ek zor-dar qahqaha likh kar dastaKHat kar dun
mujhe yaad hai
wo thak haar ke behosh hone chale gae the
gandi galiyon aur buTon ki
bhaari eDiyon ke sath
darwaza phir piTa ja raha hai!
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.