ek mahina nazmon ka
alfāzoñ kā ek ḳhazāna mere paas
aur ḳhvāboñ kī ek piTārī tere paas
maiñ tere ḳhvāboñ kā koī naam dharūñ
tum mere lafzoñ meñ
ḳhvāb piro denā
taaki ham is len-den meñ
bhuul sakeñ
tanhā.ī meñ chupke chupke ro denā
maiñ ne tere ek ḳhvāb ko bachpan likhā
jis meñ tum ne ḳhud ko
baḌhiyā paayā thā
aur koī tum se bhī ik do
saal baḌā
chand batāshe terī ḳhātir laayā thā
maiñ ne ek ḳhvāb ko likhā javānī
jis meñ tum ik tiin saal kī bachchī thī
jism zehn se kachchī thī
sachchī thī
TheTh jhuuT kī jeTh jhuuT kī
sikhar do-pahrī
jism zehn ko duniyā puḳhta kartī hai
patā hai mujh ko niiñd meñ terī
ab tak mīloñ
nannhī bachchī Thumak Thumak kar chaltī hai
phir aatā hai ek mahīna nazmoñ kā
naak kaan ko bedhne vaalī
rasmoñ kā
aur buḌhāpā yahāñ se shurūa
nahīñ hotā
alfazon ka ek KHazana mere pas
aur KHwabon ki ek piTari tere pas
main tere KHwabon ka koi nam dharun
tum mere lafzon mein
KHwab piro dena
taki hum is len-den mein
bhul saken
tanhai mein chupke chupke ro dena
main ne tere ek KHwab ko bachpan likha
jis mein tum ne KHud ko
baDhiya paya tha
aur koi tum se bhi ek do
sal baDa
chand batashe teri KHatir laya tha
main ne ek KHwab ko likha jawani
jis mein tum ek tin sal ki bachchi thi
jism zehn se kachchi thi
sachchi thi
TheTh jhuT ki jeTh jhuT ki
sikhar do-pahri
jism zehn ko duniya puKHta karti hai
pata hai mujh ko nind mein teri
ab tak milon
nannhi bachchi Thumak Thumak kar chalti hai
phir aata hai ek mahina nazmon ka
nak kan ko bedhne wali
rasmon ka
aur buDhapa yahan se shurua
nahin hota
- Book : Ek Maheena Nazmon ka (Pg. 106)
- Author : Vani Prakashan, Darya Ganj N. Delhi-110002
- Publication : Vani Prakashan, Darya Ganj N. Delhi-110002 (2015)
- Edition : 2015
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.