ek manzar aasman jaisa
maiñ vaqt ke ḳheme se niklā...
to uljhanoñ kī chilchilātī dhuup meñ
ziist mujh se lipaT paḌī
aur suljhanoñ kā safar mere talvoñ par likh diyā
inkār se nā-āshnā
maiñ ne paañv par safar bāñdh liyā
ab āsmān jaisā ek hasīñ manzar banā kar
mujhe safed parindoñ ke havāle karnā hai
dil kī zamīn se nafrat kī jaḌeñ kaaT kar
vafā-parvar jazbe kāsht kar ke
dhaḌkanoñ ko ik na.ī tartīb meñ Dhālnā hai
be-rahm sā.atoñ ko
mehrbān lamhoñ kī dāstān sunānī hai
añdheroñ ko raushnī ke ġhilāf meñ band karnā hai
an-ginat tārīk ā.ankhoñ meñ
dhanak rañgoñ se zindagī kī tasvīr banānī hai
tāsīr ko apne lahje meñ panāh de kar
āsmān tak duāoñ kā rāsta khojnā hai
harf-āshnā.ī se apnā muqaddar āsmānoñ par likh kar
band muTThī meñ chiñghāḌte sukūt aur andar bharī chīḳh ko
gum-nāmī ke jazīroñ meñ dafn karnā hai
āsmāñ jaise is hasīn manzar ko taḳhlīq kar ke
zamīn ko āsmān banānā hai
main waqt ke KHeme se nikla
to uljhanon ki chilchilati dhup mein
zist mujh se lipaT paDi
aur suljhanon ka safar mere talwon par likh diya
inkar se na-ashna
main ne panw par safar bandh liya
ab aasman jaisa ek hasin manzar bana kar
mujhe safed parindon ke hawale karna hai
dil ki zamin se nafrat ki jaDen kaT kar
wafa-parwar jazbe kasht kar ke
dhaDkanon ko ek nai tartib mein Dhaalna hai
be-rahm saaton ko
mehrban lamhon ki dastan sunani hai
andheron ko raushni ke ghilaf mein band karna hai
an-ginat tarik aaankhon mein
dhanak rangon se zindagi ki taswir banani hai
tasir ko apne lahje mein panah de kar
aasman tak duaon ka rasta khojna hai
harf-ashnai se apna muqaddar aasmanon par likh kar
band muTThi mein chinghaDte sukut aur andar bhari chiKH ko
gum-nami ke jaziron mein dafn karna hai
aasman jaise is hasin manzar ko taKHliq kar ke
zamin ko aasman banana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.