ek manzar
duur
gagan kī us nagrī meñ
kaale bādal
shor machāte
āñkh-michaulī khel rahe the
aur
chaman ke vīrāne meñ
ḳhud-rav paude
piile badan meñ
sar ko chhupā.e kaañp rahe the
aise meñ ye maiñ ne dekhā
surḳh gulāb kā nanhā paudā
vīrāne se jhāñk rahā thā
us kī āñkhoñ se bādal ko taak rahā thā
bādal apnī āñkh-michaulī bhuul ga.e the
chaman ke vīrāne meñ varshā ghuñghrū bāñdh rahī thī
ḳhud-rav paudoñ kī āñkhoñ se
aashā bāhar jhāñk rahī thī
dur
gagan ki us nagri mein
kale baadal
shor machate
aankh-michauli khel rahe the
aur
chaman ke virane mein
KHud-raw paude
pile badan mein
sar ko chhupae kanp rahe the
aise mein ye main ne dekha
surKH gulab ka nanha pauda
virane se jhank raha tha
us ki aankhon se baadal ko tak raha tha
baadal apni aankh-michauli bhul gae the
chaman ke virane mein warsha ghunghru bandh rahi thi
KHud-raw paudon ki aankhon se
aasha bahar jhank rahi thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.