ek manzar ki KHamoshi
bahut duur
shahr se bāhar
shāyad kisī aur shahr meñ
ek kamra hai
us kī saarī khiḌkiyāñ
sub.h se khulī huī haiñ
koī nahīñ hai jo unheñ band kar de
yā us gard ko saaf kar de
jo dīvār par lage portrait ko
dhundlā kar rahī hai
havā ne guzarte hue
kāġhazoñ ko piilā kar diyā
lohe kī kursī par baiTh ke
ab koī kisī ko yaad nahīñ kartā
raat ga.e sunā.ī dene vaalī
train kī āvāz nahīñ suntā
shāyad jaate jaate mez par
kisī ne dictionary ko khol kar rakh diyā hai
saare lafzoñ ko kamre meñ bikher diyā hai
bahut jald ye bhī chale jā.eñge
kamre meñ aatī jaatī chiḌiyā ke saath
ab vahāñ sirf chiḌiyā hai
ek manzar kī ḳhāmoshī ko
kabhī kabhī ḳhatm karne
yā hamesha baaqī rakhne ke liye
bahut dur
shahr se bahar
shayad kisi aur shahr mein
ek kamra hai
us ki sari khiDkiyan
subh se khuli hui hain
koi nahin hai jo unhen band kar de
ya us gard ko saf kar de
jo diwar par lage portrait ko
dhundla kar rahi hai
hawa ne guzarte hue
kaghazon ko pila kar diya
lohe ki kursi par baiTh ke
ab koi kisi ko yaad nahin karta
raat gae sunai dene wali
train ki aawaz nahin sunta
shayad jate jate mez par
kisi ne dictionary ko khol kar rakh diya hai
sare lafzon ko kamre mein bikher diya hai
bahut jald ye bhi chale jaenge
kamre mein aati jati chiDiya ke sath
ab wahan sirf chiDiya hai
ek manzar ki KHamoshi ko
kabhi kabhi KHatm karne
ya hamesha baqi rakhne ke liye
- Book : saarii nazmen (Pg. 157)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.