ek manzar
muñDeroñ par raat reñg rahī hai
aur kyāriyoñ meñ
paanī kī mahak soī huī hai
sahme darvāzoñ
aur ḳhvābīda raushan-dānoñ ke saa.e meñ
chāñdnī kā lihāf oḌhe
koī galī se guzartā hai
niiñd ke dālān meñ
duudh bhare bartan ke
girne kī āvāz aatī hai
lams aur tanaffus ke nam se
havā bojhal hai
karvaTeñ saañs letī haiñ
aur kone meñ
ek chārpā.ī par
do khulī āñkhoñ meñ
motiye ke phuul bhiig rahe haiñ
os ke girne tak
ye phuul aur bhiig jā.eñge
munDeron par raat reng rahi hai
aur kyariyon mein
pani ki mahak soi hui hai
sahme darwazon
aur KHwabida raushan-danon ke sae mein
chandni ka lihaf oDhe
koi gali se guzarta hai
nind ke dalan mein
dudh bhare bartan ke
girne ki aawaz aati hai
lams aur tanaffus ke nam se
hawa bojhal hai
karwaTen sans leti hain
aur kone mein
ek chaarpai par
do khuli aankhon mein
motiye ke phul bhig rahe hain
os ke girne tak
ye phul aur bhig jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.