ek manzar
ser-eleven ke smugglers
hīroñ kī smuggling par bāteñ kar rahe haiñ
shumālī bulgaria ke ilāqoñ se
umda qism kā tambākū aane vaalā hai
light-tower kī sīḌhiyoñ ke nīche
jeans kī nekar meñ kokīn kī thailiyāñ chhupā kar
maiDonā vāpas jā chukī hai
būḌhā lenos baiThā hai
fog light kī piilī raushnī meñ
lamha dāḌhī khuja rahā hai
sāhil kī hathelī par
ret kī uñgliyoñ meñ lipTī
barahna sāñsoñ kī uljhan par
raat kā ḳhuun saraktā hai
niDhāl jismoñ kī rūmāniyat meñ
lams kā sīlan-zada shor girtā hai
samundar barf kī jhiil meñ
tabdīl ho saktā hai
cigarette jalāne kā aalā
giilā paḌ gayā hai
bithos
lighter milegā
oh shukriya
ser-elewen ke smugglers
hiron ki smuggling par baaten kar rahe hain
shumali bulgaria ke ilaqon se
umda qism ka tambaku aane wala hai
light-tower ki siDhiyon ke niche
jeans ki nekar mein kokin ki thailiyan chhupa kar
maiDona wapas ja chuki hai
buDha lenos baiTha hai
fog light ki pili raushni mein
lamha daDhi khuja raha hai
sahil ki hatheli par
ret ki ungliyon mein lipTi
barahna sanson ki uljhan par
raat ka KHun sarakta hai
niDhaal jismon ki rumaniyat mein
lams ka silan-zada shor girta hai
samundar barf ki jhil mein
tabdil ho sakta hai
cigarette jalane ka aala
gila paD gaya hai
bithos
lighter milega
oh shukriya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.