ek mashhur intiha-pasand nai nasl ke nam
abhī se kyoñ tumhāre jism kā Dhāñcha
batāo reza reza hai
na jaane kyoñ fasurda ho abhī se tum
na jaane buzdilī kā taaj kyoñ sar par tumhāre hai
zarā socho
ki tum is daur kā katba bane ho kyoñ
abhī se zard chehra ho gayā hai kyoñ
abhī to ziist ke lākhoñ marāhil se guzarnā hai
abhī se pastī-o-zillat ke be-ma.anī azāboñ ko
kaho jheloge tum kab tak
abhī se tishna-lab ho kar
sarāboñ kī taraf kyoñ aa rahe ho tum
kahāñ chhoḌ aa.e ho apne samundar ko
tumheñ yuuñ hī bhaTaknā hai
to phir
ik mashvara detā huuñ maiñ tum ko
agar tum ibn-e-ādam ho
to chhup jaao kisī andhī guphā meñ tum
bahut mumkin hai
tum ko zaat kā irfān hāsil ho
abhi se kyon tumhaare jism ka Dhancha
batao reza reza hai
na jaane kyon fasurda ho abhi se tum
na jaane buzdili ka taj kyon sar par tumhaare hai
zara socho
ki tum is daur ka katba bane ho kyon
abhi se zard chehra ho gaya hai kyon
abhi to zist ke lakhon marahil se guzarna hai
abhi se pasti-o-zillat ke be-mani azabon ko
kaho jheloge tum kab tak
abhi se tishna-lab ho kar
sarabon ki taraf kyon aa rahe ho tum
kahan chhoD aae ho apne samundar ko
tumhein yun hi bhaTakna hai
to phir
ek mashwara deta hun main tum ko
agar tum ibn-e-adam ho
to chhup jao kisi andhi gupha mein tum
bahut mumkin hai
tum ko zat ka irfan hasil ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.