ek mashwara
mire gird
ab laal piilī davāoñ kī
in shīshiyoñ se
na dīvār chunñe kī
koshish karo
tum hisār-e-duā meñ
mujhe qaid karne kī zid chhoḌ do
ab mire zaḳhm-ḳhurda badan kī
na tum sūiyoñ se
tabīboñ kī
paivand-kārī karo
apnī pahchān kī shakl
bigḌī huī lag rahī ho
to merī
ik achchhī sī tasvīr
kamre meñ tum Taañg lo
mujh ko ghar ke
kisī andhe kone meñ ab Daal do
mere gird
ab lal pili dawaon ki
in shishiyon se
na diwar chunne ki
koshish karo
tum hisar-e-dua mein
mujhe qaid karne ki zid chhoD do
ab mere zaKHm-KHurda badan ki
na tum suiyon se
tabibon ki
paiwand-kari karo
apni pahchan ki shakl
bigDi hui lag rahi ho
to meri
ek achchhi si taswir
kamre mein tum Tang lo
mujh ko ghar ke
kisi andhe kone mein ab Dal do
- Book : Pakistani Adab (Pg. 171)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.