ek mauqa
ḳhvāb-parast! ujālā na kar
merā ḳhuun safed aur rañg faq hai
mujhe nāḳhun se kured, aa chal ke kahīñ baiTheñ
bādshāh ke huzūr khaḌe khaḌe maiñ shal ho ga.ī
mom-battī kī tarah
mujhe alganī par Taañg de ki merī dohragī kā bojh
baan baTne vaale pe ho tujh par na ho
ḳhvāb-parast! mujhe jagā to le phir so jaanā
kyūñki nahīñ jaanā jis ne jo jaanā
bhiiḌ bahut hai aur begānagī us se bhī bahut
lekin meñ tujhe bahutoñ meñ se bhī DhūñD lūñgī
bā-mohabbat bā-īmān ḳhushbū darīcha darīcha phirī
aur kahtī thī sadiyoñ kā kahā
buuñd buuñd miTTī kashīd karne kā fan
kaho kah chuko
ḳhūñ-bahā anāroñ ke khet
poshīda ḳhazānoñ ke ḳhvāb
añgūThī pe mohr terī āñkheñ
aur tū hākim-e-shahr
mehrbāñ! mehrbāñ! mehrbāñ
azāb-e-zīst se hukm, rihā.ī kā de
ek mauqa mujhe jag-hañsā.ī kā de!
KHwab-parast! ujala na kar
mera KHun safed aur rang faq hai
mujhe naKHun se kured, aa chal ke kahin baiThen
baadshah ke huzur khaDe khaDe main shal ho gai
mom-batti ki tarah
mujhe algani par Tang de ki meri dohragi ka bojh
ban baTne wale pe ho tujh par na ho
KHwab-parast! mujhe jaga to le phir so jaana
kyunki nahin jaana jis ne jo jaana
bhiD bahut hai aur beganagi us se bhi bahut
lekin mein tujhe bahuton mein se bhi DhunD lungi
ba-mohabbat ba-iman KHushbu daricha daricha phiri
aur kahti thi sadiyon ka kaha
bund bund miTTi kashid karne ka fan
kaho kah chuko
KHun-baha anaron ke khet
poshida KHazanon ke KHwab
anguThi pe mohr teri aankhen
aur tu hakim-e-shahr
mehrban! mehrban! mehrban
azab-e-zist se hukm, rihai ka de
ek mauqa mujhe jag-hansai ka de!
- Book : Quarterly TASTEER Lahore (Pg. 541)
- Author : Naseer Ahmed Nasir
- Publication : H.No.-21, Street No. 2, Phase II, Bahriya Town, Rawalpindi (Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011)
- Edition : Volume:15, Issue No. 1, 2, Jan To June.2011
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.