ek mohre ka safar
jab vo kam-umr hī thā
us ne ye jaan liyā thā ki agar jiinā hai
baḌī chālākī se jiinā hogā
aañkh kī āḳhirī had tak hai bisāt-e-hastī
aur vo māmūlī sā ik mohra hai
ek ik ḳhāna bahut soch ke chalnā hogā
baazī āsān nahīñ thī us kī
duur tak chāroñ taraf phaile the
mohre
jallād
nihāyat hī saffāk
saḳht be-rahm
bahut hī chālāk
apne qabze meñ liye
puurī bisāt
us ke hisse meñ faqat maat liye
vo jidhar jaatā
use miltā thā
har nayā ḳhāna na.ī ghaat liye
vo magar bachtā rahā
chaltā rahā
ek ghar
dūsrā ghar
tīsrā ghar
paas aayā kabhī auroñ ke
kabhī duur huā
vo magar bachtā rahā
chaltā rahā
go ki māmūlī sā mohara thā magar jiit gayā
yuuñ vo ik roz baḌā mohara banā
ab vo mahfūz hai ik ḳhāne meñ
itnā mahfūz hai ik ḳhāne meñ
itnā mahfūz ki dushman to alag
dost bhī paas nahīñ aa sakte
us ke ik haath meñ hai jiit us kī
dūsre haath meñ tanhā.ī hai
jab wo kam-umr hi tha
us ne ye jaan liya tha ki agar jina hai
baDi chaalaki se jina hoga
aankh ki aaKHiri had tak hai bisat-e-hasti
aur wo mamuli sa ek mohra hai
ek ek KHana bahut soch ke chalna hoga
bazi aasan nahin thi us ki
dur tak chaaron taraf phaile the
mohre
jallad
nihayat hi saffak
saKHt be-rahm
bahut hi chaalak
apne qabze mein liye
puri bisat
us ke hisse mein faqat mat liye
wo jidhar jata
use milta tha
har naya KHana nai ghat liye
wo magar bachta raha
chalta raha
ek ghar
dusra ghar
tisra ghar
pas aaya kabhi auron ke
kabhi dur hua
wo magar bachta raha
chalta raha
go ki mamuli sa mohara tha magar jit gaya
yun wo ek roz baDa mohara bana
ab wo mahfuz hai ek KHane mein
itna mahfuz hai ek KHane mein
itna mahfuz ki dushman to alag
dost bhi pas nahin aa sakte
us ke ek hath mein hai jit us ki
dusre hath mein tanhai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.