ek mor
ek mor aa.egā
āsmān se shāyad
husn aur mohabbat kī
dāstān se shāyad
ḳhvāb aur udāsī ke
ik jahān se shāyad
phir vo mor nāchegā
der tak akele meñ
yaad ke jazīre par
mere saath mele meñ
ḳhud ko bhuul jā.egā
shahr ke jhamele meñ
sub.h log pūchheñge
raat shor kaisā thā
ghar ke saath ziine par
ek mor kaisā thā
ek mor aaega
aasman se shayad
husn aur mohabbat ki
dastan se shayad
KHwab aur udasi ke
ek jahan se shayad
phir wo mor nachega
der tak akele mein
yaad ke jazire par
mere sath mele mein
KHud ko bhul jaega
shahr ke jhamele mein
subh log puchhenge
raat shor kaisa tha
ghar ke sath zine par
ek mor kaisa tha
- Book : saarii nazmen (Pg. 622)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.