ek mujassame ki ziyarat
tum ek mujassama
jo fankār kī uñgliyoñ meñ
parvān nahīñ chaḌhā
tum ek mujassama
jis par sañg-e-marmar
narm paḌ gayā
maiñ un uñgliyoñ kā dukh
jo tumheñ ḳhalq karne ke
vajd se nahīñ guzrā
aur us dil kā
jo khil nahīñ sakā
tumhārī poroñ ke saath saath
tum aatī jaatī sāñseñ
maiñ
dukh un sāñsoñ kā
jo tum meñ shāmil nahīñ huiiñ
dukh un āñkhoñ kā
ki jab khul rahe the
tumhārī gavāh nahīñ raheñ
tum ek phuul
apnī zaat se khilā huā
maiñ dukh
tumhāre badan se zaat tak
nā-rasā rāstoñ kā
un ke fāsloñ kā
maiñ dukh apne chehre kā
jis ne apne chehre kā
jis ne apnī tamām shikneñ
tum par narm kar deñ
dil ke us ḳhalā kā
jo tumheñ dekh kar
āsmān jitnā ho gayā
maiñ dukh apne ḳhvāb kā
tum ne jis kī mazdūrī nahīñ dī
maiñ dukh apne ḳhvāb kā
jo tumhāre badan par puurā ho gayā
tum ek mujassama
jo fankar ki ungliyon mein
parwan nahin chaDha
tum ek mujassama
jis par sang-e-marmar
narm paD gaya
main un ungliyon ka dukh
jo tumhein KHalq karne ke
wajd se nahin guzra
aur us dil ka
jo khil nahin saka
tumhaari poron ke sath sath
tum aati jati sansen
main
dukh un sanson ka
jo tum mein shamil nahin huin
dukh un aankhon ka
ki jab khul rahe the
tumhaari gawah nahin rahen
tum ek phul
apni zat se khila hua
main dukh
tumhaare badan se zat tak
na-rasa raston ka
un ke faslon ka
main dukh apne chehre ka
jis ne apne chehre ka
jis ne apni tamam shiknen
tum par narm kar den
dil ke us KHala ka
jo tumhein dekh kar
aasman jitna ho gaya
main dukh apne KHwab ka
tum ne jis ki mazduri nahin di
main dukh apne KHwab ka
jo tumhaare badan par pura ho gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.