ek mushtarka nazm
vo nazm jo maiñ ne tum pe likhī
vo sher jo maiñ ne palkoñ se
dil-kāġhaz par tahrīr kiyā
vo nazm jo tum ne mujh pe likhī
jo buuñd barābar rishte se
nam miTTī meñ parvān chaḌhī
vo nazm hamārī bāñhoñ meñ
jab bāñheñ Daal ke hañstī hai
vo sher tumhāre qadmoñ se
jab qadam milā kar chaltā hai
maiñ sochtī huuñ is dhartī par
ham donoñ jaisā shā.ir koī aur nahīñ
wo nazm jo main ne tum pe likhi
wo sher jo main ne palkon se
dil-kaghaz par tahrir kiya
wo nazm jo tum ne mujh pe likhi
jo bund barabar rishte se
nam miTTi mein parwan chaDhi
wo nazm hamari banhon mein
jab banhen Dal ke hansti hai
wo sher tumhaare qadmon se
jab qadam mila kar chalta hai
main sochti hun is dharti par
hum donon jaisa shair koi aur nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.